dāġh-e-dil dāġh-e-tamannā mil gayā
dil lagāne kā natīja mil gayā
us saḳhī kī bārgah meñ kyā kamī
jis ne jo kuchh us se māñgā mil gayā
un ke dāman tak pahuñch ab bhī nahīñ
ḳhaak meñ mil kar mujhe kyā mil gayā
ab kamī beshī kā ronā kis liye
jo muqaddar meñ likhā thā mil gayā
thī tire dar se talab har ek ko
muġhtanim hai jis ko jitnā mil gayā
saiñkaḌoñ ilzām lākhoñ tohmateñ
un se milne kā natīja mil gayā
likh ga.e vo mere madfan par 'nasīm'
ḳhaak meñ mil kar tujhe kyā mil gayā