ek hai phir bhī hai ḳhudā sab kā
is kā us kā mirā tirā sab kā
husn-e-mastūr ko ayaañ kar de
ek ho jaa.e mudda.ā sab kā
jurm-e-dil kī sazā milī mujh ko
maiñ ne paayā liyā diyā sab kā
naza.a meñ de ga.e javāb havās
e.atibār aaj uTh gayā sab kā
ek begāna-ḳhū ko dil de kar
maiñ gunāhgār ho gayā sab kā
maiñ kisī kā nahīñ sivā jis ke
haa.e vo hai mire sivā sab kā
aisī kyā ho ga.ī ḳhatā mujh se
mujh pe hai jaur-e-nā-ravā sab kā
sab ko chhoḌā hai maiñ ne jis ke liye
vo sitamgar hai āshnā sab kā
ek manzil hai ai 'nasīm' magar
jāda-e-shauq hai judā sab kā