be-chehragī-e-umr-e-ḳhajālat bhī bahut hai
is dasht meñ gardāb kī sūrat bhī bahut hai
āñkheñ jo liye phirtā huuñ ai ḳhvāb-e-musalsal!
mere liye ye kār-e-aziyyat bhī bahut hai
tum zād-e-safar itnā uThāoge kahāñ tak
asbāb meñ ik rañj-e-masāfat bhī bahut hai
do saañs bhī ho jaa.eñ baham habs-e-badan meñ
ai umr-e-ravāñ! itnī karāmat bhī bahut hai
kuchh ujrat-e-hastī bhī nahīñ apne mutābiq
kuchh kār-e-tanaffus meñ mashaqqat bhī bahut hai
ab maut mujhe maar ke kyā degī 'ġhazanfar'
āñkhoñ ko to ye ālam-e-hairat bhī bahut hai