Agha Shayar Qazalbash

kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
kyā kar rahe ho zulm karo raah raah kā
kahte haiñ be-jigar hai baḌā tiir aah kā
yuuñ rauñgTe larazte haiñ pūchheñge roz-e-hashr
kyuuñ ek din bhī ḳhauf na aayā gunāh kā
hālat pe merī un ke bhī aañsū nikal paḌe
dekhā gayā na yaas meñ aalam nigāh kā
kisrā kā taaq ka.abe ke but muñh ke bal gire
shohra sunā jo ashhado-an-lā-ilāh kā
'shā.ir' ajiib rañg se guzrī hai apnī umr
duniyā meñ naam bhī na sunā ḳhair-ḳhvāh kā
Top Urdushayar.com