uryāñ hī rahe laash ġharīb-ul-vatanī meñ
dhabbe mire isyāñ ke na aa.eñ kafanī meñ
iqrār pe bhī merī tabī.at nahīñ jamtī
vo lutf milā hai tirī paimāñ-shikanī meñ
dil TuuT ke juḌtā nahīñ shīsha ho to juḌ jaa.e
hai farq yahī soḳhtanī sāḳhtanī meñ
hasrat hai mirī aap kī tasvīr nahīñ hai
ik chiiz hai rakh lī hai chhupā kar kafanī meñ
ham bhī kabhī pariyoñ meñ rahā karte the 'shā.ir'
kyā dekhte ho ham ko ġharīb-ul-vatanī meñ