Khwaja Mohammad Wazir

abr kya ghir ghir ke aaya khul gaya

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
abr kyā ghir ghir ke aayā khul gayā
bas sabāt-e-bahr-e-duniyā khul gayā
rāz-e-dil kitnā chhupāyā khul gayā
haal is daulat-sarā kā khul gayā
husn-e-āriz aarzī thā khul gayā
ḳhat ke aate hī lifāfa khul gayā
aañkh se rūmāl sarkā ba.ad-e-marg
chashm-e-tar kā aaj pardā khul gayā
tum jo bole ho gayā sābit dahan
bātoñ hī bātoñ meñ uqda khul gayā
kaT gayā sar hal huī mushkil mirī
nāḳhun-e-ḳhanjar se uqda khul gayā
be-zabānī bāteñ sunvāne lagī
gāliyoñ par muñh tumhārā khul gayā
thā qalam-band apnī āzādī kā haal
ḳhat ko jab us ne lapeTā khul gayā
ḳhat pe ḳhat laa.e jo murġh-e-nāma-bar
bole in murġhoñ kā Darbā khul gayā
Top Urdushayar.com