Agha Shayar Qazalbash

maskan wahin kahin hai wahin aashiyan kahin

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
maskan vahīñ kahīñ hai vahīñ āshiyāñ kahīñ
do aaḌe sīdhe rakh liye tinke jahāñ kahīñ
phūloñ kī sej phūloñ kī haiñ baddhiyāñ kahīñ
kāñToñ pe ham taḌapte haiñ o āsmāñ kahīñ
jaate kidhar ho tum saf-e-mehshar meñ ḳhair hai
dāman na ho ḳhudā ke liye dhajjiyāñ kahīñ
pahrā biThā diyā hai ye qaid-e-hayāt ne
saaya bhī saath saath hai jā.ūñ jahāñ kahīñ
bas mujh ko daad mil ga.ī mehnat vasūl hai
sun le ġhazal ye bulbul-e-hindustāñ kahīñ
'shā.ir' vo aaj phir vahīñ jaate hue mile
dushman ke sar pe TuuT paḌe āsmāñ kahīñ
Top Urdushayar.com