Agha Shayar Qazalbash

jis ne tujhe KHalwat mein bhi tanha nahin dekha

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
jis ne tujhe ḳhalvat meñ bhī tanhā nahīñ dekhā
us dekhne vaale kā kaleja nahīñ dekhā
uf uf vo uchaTtī sī nigāh-e-ġhalat-andāz
is tarah se dekhā hai ki goyā nahīñ dekhā
jis gul ko ye sab DhūñDtī phirtī haiñ havā.eñ
tū ne to use nargis-e-shahlā nahīñ dekhā
dam āñkhoñ meñ aTkā hai ḳhudā ke liye aao
phir ye na gila ho mirā rastā nahīñ dekhā
'shā.ir' ye ġhazal likkhī hai yā jaḌ diye motī
duniyā meñ qalamkār bhī aisā nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com