chalegā nahīñ mujh pe fuqarā tumhārā
haTā lo ki ḳhanjar hai jhūTā tumhārā
manā.eñ to ab jaan de kar manā.eñ
qayāmat hai ye ruuTh jaanā tumhārā
baḌe sīdhe saade baḌe bhūle bhāle
koī dekhe is vaqt chehrā tumhārā
bachā hai jo sāġhar meñ kyuuñ pheñkte ho
hameñ de do ham pī leñ jhūTā tumhārā
ye kyā hai sabab aaj chup chup ho pyāre
batāo to kyuuñ jī hai kaisā tumhārā
uThāne paḌe ḳhaak se dal ke TukḌe
baḌā pyaar thā pyaar dekhā tumhārā
ḳhudā ke liye haañ nahīñ kuchh to kah do
ki muñh tak rahī hai tamannā tumhārā
ilaaj us ke bīmār kā tum karoge
kahīñ dil chalā hai masīhā tumhārā
chalā 'shā.er' zaar taslīm lījiye
bhalā ho bhalā mere daatā tumhārā