Agha Shayar Qazalbash

lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
laakh laakh ehsān jis ne dard paidā kar diyā
jis ne is dil ko hathelī kā phaphūlā kar diyā
dekhnā maġhrib kī jānib ye shafaq kā phūlnā
Dūbte sūraj ne sone meñ suhāgā kar diyā
zindagī aur maut meñ ik umr se thī kashmakash
vaqt par do hichkiyoñ ne paak jhagḌā kar diyā
ik sharāra sā qarīb-e-sham.a jā kar mil gayā
ātish-e-parvāna ne shole ko duunā kar diyā
bulbul-e-tasvīr huuñ ab bolnā hai nāgavār
terī is hañgāma ārā.ī ne chupkā kar diyā
is ko kahte haiñ lagī parvāne jal bujh Duub mar
rote rote sham.a ne āḳhir saverā kar diyā
de diyā āñkheñ laḌā kar is parī-paikar ne jaam
maiñ nashe meñ chuur thā hī aur andhā kar diyā
kyā girāmī hastiyāñ haiñ hazrat-e-'usmān'-o-'shād'
'shā.ir' in donoñ ne duniyā meñ ujālā kar diyā
Top Urdushayar.com