girī gir kar uThī palTī to jo kuchh thā uThā laa.ī
nazar kyā kīmiyā thī rañg chehroñ se uḌā laa.ī
ḳhudā ke vāste saffākiyāñ ye kis se sīkhī haiñ
nazar se pyaar māñgā thā vo ik ḳhanjar uThā laa.ī
na hasrat hī nikaltī hai na dil ko aag lagtī hai
mirī hastī mire dāman meñ kyā kāñTā lagā laa.ī
vo sab badmastiyāñ thiiñ zar kī ab zar hai na piite haiñ
hamārī muflisī ḳhud raah par ham ko lagā laa.ī
miTāne ko hamāre ye zamīn-o-āsmāñ donoñ
hamesha mil ke chalte haiñ ba-īñ pastī-o-bālā.ī
jo kuchh dekhā na dekhā jo sunī vo an-sunī 'shā.ir'
na aa.e ham yahāñ ye zindagī muft-e-ḳhudā laa.ī