uns apne meñ kahīñ paayā na begāne meñ thā
kyā nasha hai saarā aalam ek paimāne meñ thā
aah itnī kāvisheñ ye shor-o-shar ye iztirāb
ek chuTkī ḳhaak kī do par ye parvāne meñ thā
aap hī us ne anal-haq kah diyā ilzām kyā
hosh kis ne le liyā thā hosh dīvāne meñ thā
allāh allāh ḳhaak meñ milte hī ye pā-e-samar
lo ḳhudā kī shaan phal bhī phuul bhī daane meñ thā
shaiḳh ko jo pārsā kahtā hai us ko kyā kahūñ
maiñ ne apnī aañkh se dekhā vo mai-ḳhāne meñ thā
'shā.ir'-e-nāzuk-tabī.at huuñ mirā dil kaT gayā
sāqiyā lenā ki shāyad baal paimāne meñ thā