Agha Shayar Qazalbash

dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
dil sard ho gayā hai tabī.at bujhī huī
ab kyā hai vo utar ga.ī naddī chaḌhī huī
tum jaan de ke lete ho ye bhī na.ī huī
lete nahīñ saḳhī to koī chiiz dī huī
is TuuTe phūTe dil ko na chheḌo pare haTo
kyā kar rahe ho aag hai is meñ dabī huī
lo ham batā.eñ ġhuncha-o-gul meñ hai farq kyā
ik baat hai kahī huī ik be-kahī huī
ḳhūñ-rez jis qadar haiñ vo rahte haiñ sar-nigūñ
ḳhanjar huā kaTār huī yā chhurī huī
'shā.ir' ḳhudā ke vāste tauba kā kyā qusūr
hai kis ke muñh se phir ye subūhī lagī huī
Top Urdushayar.com