Agha Shayar Qazalbash

ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
ye kaise baal khole aa.e kyuuñ sūrat banī ġham kī
tumhāre dushmanoñ ko kyā paḌī thī mere mātam kī
shikāyat kis se kiije haa.e kyā ulTā zamāna hai
baḌhāyā pyaar jab ham ne mohabbat yaar ne kam kī
jigar meñ dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai
mujhe is be-ḳhudī meñ bhī ḳhabar hai apne aalam kī
nahīñ milte na miliye ḳhair koī mar na jā.egā
ḳhudā kā shukr hai pahle mohabbat aap ne kam kī
adū jis tarah tum ko dekhtā hai ham samajhte haiñ
chhupāo laakh tum chhuptī nahīñ hai aañkh mahram kī
maza is meñ hī miltā hai namak chiḌko namak chiḌko
qasam le lo nahīñ aadat mire zaḳhmoñ ko marham kī
kahāñ jaanā hai tham-tham kar chalo aisī bhī kiyā jaldī
tum hī tum ho ḳhudā rakkhe nazar paḌtī hai aalam kī
koī aisā ho ā.īna ki jis meñ tū nazar aa.e
zamāne bhar kā jhūTā kyā haqīqat sāġhar-e-jam kī
ghaTā.eñ dekh kar be-tāb hai bechain hai 'shā.ir'
tire qurbān o mutrib sunā de koī mausam kī
Top Urdushayar.com