Agha Shayar Qazalbash

kya KHabar thi raaz-e-dil apna ayan ho jaega

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940

kyā ḳhabar thī rāz-e-dil apnā ayaañ ho jā.egā

kyā ḳhabar thī aah shola zabāñ ho jā.egā

hashr hone de sitamgar ham dikhā deñge tujhe

pyārā pyārā ye garebāñ uñgliyāñ ho jā.egā

raat bhar haiñ bahāreñ sham.a kyā parvāna kyā

sub.h hote hote ruḳhsat kārvāñ ho jā.egā

hashr meñ insāf hogā bas yahī sunte raho

kuchh yahāñ hotā rahā hai kuchh vahāñ ho jā.egā

is ko kahte haiñ jahāñ meñ log sachchī ulfateñ

tiir jab dil se khichegā to kamāñ ho jā.egā

aaḌī sīdhī paḌtī haiñ nazreñ tumhīñ par aaj to

majma-e-tār-e-nazar kyā baddhiyāñ ho jā.egā

hai yahī rañg-e-suḳhan to 'shā.ir' shīrīñ-zabāñ

bhī ik din tūti-e-hindustāñ ho jā.egā

Top Urdushayar.com