Khwaja Mohammad Wazir

tegh-e-uryan pe tumhaari jo paDi meri aankh

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
teġh-e-uryāñ pe tumhārī jo paḌī merī aañkh
chashm-e-jauhar se ajī ḳhuub laḌī merī aañkh
na haTī peT par us ke jo paḌī merī aañkh
ban ga.ī nāf-e-shikam aise aḌī merī aañkh
ashk-e-gul rañg pirotī hai mizha meñ kyā ḳhuub
kyā banātī hai ye phūloñ kī chhaḌī merī aañkh
tum rahe baam pe yaañ lag ga.iiñ āñkheñ chhat se
raat gintī rahī har ek kaḌī merī aañkh
is ḳhajālat ne abad tak mujhe sone na diyā
hijr meñ lag ga.ī thī ek ghaḌī merī aañkh
dur-e-dandāñ kī bhalā aa.ina kyā jaane qadr
is ko dikhlāo mubassir hai baḌī merī aañkh
ḳhat-e-ruḳhsār nahīñ pā-e-nigah ke haiñ nishāñ
āriz-e-sāf pe sau baar paḌī merī aañkh
yaad aa.e jo tire teġh kā maalā qātil
roke paidā kare motī kī laḌī merī aañkh
raḳhna dīvār meñ me.amār banānā kyā thā
tū ne rauzan ke evaz kyuuñ na jaḌī merī aañkh
zindagī meñ to kiyā mardum-e-ābī mujh ko
dekhūñ ab kyā ho mire saath gaḌī merī aañkh
zulf kī tarah se zanjīr huī jaatī hai narm
paḌtī hai josh-e-junūñ meñ ye kaḌī merī aañkh
kyā usī ne ye kiyā matla-e-abrū mauzūñ
tum jo kahte ho suḳhan-goī baḌī merī aañkh
chashm meñ surme kā dumbāla banā kar bole
kyuuñ asā Tek ke ho jaa.e khaḌī merī aañkh
naḳhl-e-nargis nahīñ turbat pe nazāre ke liye
aa.ine dekhtī hai raah khaḌī merī aañkh
nazar aa.egī zamīñ kashtī-e-dariyā-e-fanā
dekh lenā jo mire saath gaḌī merī aañkh
bāġhbāñ nahr nahīñ yaad meñ ik kūche kī
ro rahī hai ye gulistāñ meñ paḌī merī aañkh
karte hī ek nigah meñ lab-e-nāzuk ko kabūd
kyā banā detī hai missī kī dhaḌī merī aañkh
aa.e terā jo tasavvur bhī to bahr-e-tāzīm
kyā ajab pā-e-nigah se ho khaḌī merī aañkh
dil par-e-dāġh huā dafn to laala niklā
ugī nargis jo gulistāñ meñ gaḌī merī aañkh
yaad aate haiñ mujhe hazrat-e-'nāsiḳh' jo 'vazīr'
kyā lagā detī hai ashkoñ kī jhaḌī merī aañkh
Top Urdushayar.com