Agha Shayar Qazalbash

main KHudi mein mubtila KHud ko miTane ke liye

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
maiñ ḳhudī meñ mubtilā ḳhud ko miTāne ke liye
tū ne to har zarre ko zau dī jagmagāne ke liye
ek adnā se patiñge ne banā dī jaan par
sham.a ne koshish to kī thī dil jalāne ke liye
barq-e-ḳhirman sozāb rakhnā zarā chashm-e-karam
chaar tinke phir jaḌe haiñ āshiyāne ke liye
muñh nahīñ har ek kā jo saḳhti-e-gardūñ sahe
kuchh kaleja chāhiye vo zaḳhm khāne ke liye
ḳhuub bulbul ko sikhāyā nāla-e-mastāna-vār
ḳhuub ġhunche ko samajh dī muskurāne ke liye
is qadar arzāñ huī hai aaj kal jins-e-kamāl
jhūTe sikke Dhal rahe haiñ har ḳhazāne ke liye
ḳhvāb meñ bhī ab nahīñ 'shā.ir' vo garmi-e-kalām
sham.a sī ik rah ga.ī hai jhilmilāne ke liye
Top Urdushayar.com