Agha Shayar Qazalbash

zarra bhi agar rang-e-KHudai nahin deta

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
zarra bhī agar rañg-e-ḳhudā.ī nahīñ detā
andhā hai tujhe kuchh bhī dikhā.ī nahīñ detā
dil kī burī aadat hai jo miTtā hai butoñ par
vallāh maiñ un ko to burā.ī nahīñ detā
kis tarah javānī meñ chalūñ raah pe nāseh
ye umr hī aisī hai sujhā.ī nahīñ detā
girtā hai usī vaqt bashar muñh ke bal aa kar
jab tere sivā koī dikhā.ī nahīñ detā
sun kar mirī fariyād vo ye kahte haiñ 'shā.ir'
is tarah to koī bhī duhā.ī nahīñ detā
Top Urdushayar.com