ruḳhsār ke partav se bijlī kī na.ī dhaj hai
kyuuñ aañkh jhapaktī hai kyā sāmne sūraj hai
duniyā kī zamīnoñ se ai charḳh tū kyā vāqif
ik ik yahāñ pinhāñ kā.vus hai iiraj hai
darvāze pe us but ke sau baar hameñ jaanā
apnā to yahī kaaba apnā to yahī haj hai
ai abru-e-jānāñ tū itnā to batā ham ko
kis ruḳh se kareñ sajda qible meñ zarā kaj hai
insāf karo logo insāf karo pyāro
'shā.ir' kī zamāne meñ duniyā se na.ī dhaj hai