bahār aa.ī hai phir chaman meñ nasīm iThlā ke chal rahī hai
har ek ġhuncha chaTak rahā hai guloñ kī rañgat badal rahī hai
vo aa ga.e lo vo jī uThā maiñ adū kī ummīd-e-yās Thahrī
ajab tamāshā hai dil-lagī hai qazā khaḌī haath mal rahī hai
batāo dil duuñ na duuñ kaho to ajiib nāzuk mo.āmla hai
idhar to dekho nazar milāo ye kis kī shoḳhī machal rahī hai
taḌap rahā huuñ yahāñ maiñ tanhā vahāñ adū se vo ham-baġhal haiñ
kisī ke dam par banī huī hai kisī kī hasrat nikal rahī hai
ghaTā vo chhā.ī vo abr uTThā yahī to hai vaqt mai-kashī kā
bulāo 'shā.ir' ko hai kahāñ vo sharāb shīshe se Dhal rahī hai