Agha Shayar Qazalbash

na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
na niklā muñh se kuchh niklī na kuchh bhī qalb-e-muztar kī
kisī ke sāmne maiñ ban gayā tasvīr patthar kī
ḳhudā se kyuuñ na māñgūñ vaah maiñ bandoñ se kyā māñgūñ
mujhe mil jā.egī jo chiiz hai mere muqaddar kī
tasavvur chāhiye ai shaiḳh sab kā ek iimā hai
sadā hai parda-e-nāqūs meñ allāhu-akbar kī
dil-e-rāhat-talab ko qabr meñ kyā be-qarārī hai
mujhe ghabrā.e detī hai udāsī is na.e ghar kī
kaleje meñ hazāroñ daaġh dil meñ hasrateñ lākhoñ
kamā.ī le chalā huuñ saath apne zindagī bhar kī
sambhal kar dekhnā ārā.ishoñ ke baad ā.īna
ye ā.īna nahīñ hai ab ye TukḌe hai barābar kī
mire ash.ār 'shā.ir' daaġh o aasif jaah se pūchho
ki shaah o jauhrī hī jānte haiñ qadr gauhar kī
Top Urdushayar.com