rone se jo bhaḌās thī dil kī nikal ga.ī
aañsū bahā.e chaar tabī.at sambhal ga.ī
maiñ ne taras taras ke guzārī hai saarī umr
merī na hogī jaan jo hasrat nikal ga.ī
bechain huuñ maiñ jab se nahīñ dil-lagī kahīñ
vo dard kyā gayā ki mire dil kī kal ga.ī
kahtā hai chārāgar ki na pā.egā indimāl
achchhā huā ki zaḳhm kī sūrat badal ga.ī
ai sham.a ham se soz-e-mohabbat ke zabt siikh
kam-baḳht ek raat meñ saarī pighal ga.ī
shāḳh-e-nihāl-e-umr hamārī na phal sakī
ye to hai vo kalī jo nikalte hī jal ga.ī
dekhā jo us ne pyaar se aġhyār kī taraf
'shā.ir' qasam ḳhudā kī mirī jaan jal ga.ī