Agha Shayar Qazalbash

buton ke waste to din-o-iman bech Dale hain

Agha Shayar Qazalbash

Delhi, India

1871-1940
butoñ ke vāste to dīn-o-īmāñ bech Daale haiñ
ye vo māshūq haiñ jo ham ne kaabe se nikāle haiñ
vo dīvāna huuñ jis ne koh o sahrā chhān Daale haiñ
unhīñ talvoñ se to TuuTe hue kāñTe nikāle haiñ
tarāshī haiñ vo bāteñ us sitamgar ne sar-e-mahfil
kaleje se hazāroñ tiir chun chun kar nikāle haiñ
jigar dil ke varaq haiñ vāda-e-dīdār se raushan
unheñ kyuuñ duuñ kisī ko ye to jannat ke qabāle haiñ
agar muñh se kahā kuchh to bikhar hī jā.eñge TukḌe
baḌī mushkil se ham TuuTe hue dil ko sambhāle haiñ
hamīñ haiñ mojid-e-bāb-e-fasāhat hazrat-e-'shā.ir'
zamāna sīkhtā hai ham se ham vo dillī vaale haiñ
Top Urdushayar.com