valvale jitne safar ke the safar itne na the
duur the raushan nagar ham se magar itne na the
band āñkheñ jab khulīñ to raushnī pahchān lī
be-ḳhabar ham hoñ to hoñ par be-basar itne na the
maslahat ke haath ab apnī anā bhī bik ga.ī
be-sar-o-sāmāñ the pahle bhī magar itne na the
mustahiq āñkheñ mirī jānib uThī thiiñ jis qadar
dukh to ye hai merī shāḳhoñ par samar itne na the
sat.h-e-chehra par bhī pahle ek Thahrāv sā thā
dil kī gahrā.ī meñ bhī 'mohsin' bhañvar itne na the