Nazeer Banarasi

ye jalwa-e-gah-e-KHas hai kuchh aam nahin hai

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
ye jalva-e-gah-e-ḳhās hai kuchh aam nahīñ hai
kamzor nigāhoñ kā yahāñ kaam nahīñ hai
jis meñ na chamakte hoñ mohabbat ke sitāre
vo shaam agar hai to mirī shaam nahīñ hai
kyā jaane mohabbat kī hai ye kaun sī manzil
vo saath haiñ phir bhī mujhe ārām nahīñ hai
tum sāmne ḳhud aa.e navāzish ye tumhārī
ab merī nazar par koī ilzām nahīñ hai
afsos vo kab merī nazar dekh rahe haiñ
jab merī nazar meñ koī paiġhām nahīñ hai
shāyad ki 'nazīr' uTh chukā ab dil kā janāza
ab saañs ke pardoñ meñ vo kohrām nahīñ hai
Top Urdushayar.com