sunā hai ki un se mulāqāt hogī
agar ho ga.ī to baḌī baat hogī
nigāhoñ se sharh-e-hikāyāt hogī
zabāñ chup rahegī magar baat hogī
mire ashk jis shab ke dāman meñ hoñge
yaqīnan vo tāroñ bharī raat hogī
samajhtī hai shaam o sahar jis ko duniyā
tire zulf o aariz kī ḳhairāt hogī
na sāvan hī barsā na bhādoñ hī barsā
bahut shor sunte the barsāt hogī
mohabbat bahut be-mazā hogī jis din
zabāñ be-niyāz-e-shikāyāt hogī
vahāñ qalb kī raushnī saath degī
jahāñ din na hogā faqat raat hogī
'nazīr' aao ro leñ gale mil ke ham tum
ḳhudā jaane phir kab mulāqāt hogī