Nazeer Banarasi

ek jhonka is tarah zanjir-e-dar khaDka gaya

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
ek jhoñkā is tarah zanjīr-e-dar khaḌkā gayā
maiñ ye samjhā bhūlne vaale ko maiñ yaad aa gayā
umr bhar kī baat bigḌī ik zarā sī baat meñ
ek lamha zindagī bhar kī kamā.ī khā gayā
ai zamīñ tujh ko mohabbat se basāne ke liye
āsmānoñ kī bulandī se mujhe pheñkā gayā
inqilāb-e-dahr bar-haq lekin aisā inqalāb
vo kahīñ paa.e ga.e aur maiñ kahīñ paayā gayā
ā.īna dikhlāne aa.e the pareshānī ke din
thā mirā chehra magar mujh se na pahchānā gayā
aap ne apnī zabāñ se jis ko apnā kah diyā
vo divāna har jagah khoyā huā paayā gayā
ḳhairiyat kyā pūchhte ho gesū-e-hālāt kī
vaqt hī uljhā gayā thā vaqt hī suljhā gayā
us taraf jaate hue ab dil dahaltā hai 'nazīr'
zindagī meñ jis taraf se bār-hā aayā gayā
Top Urdushayar.com