yahāñ kī fikr vahāñ kā ḳhayāl rakkhā hai
akele donoñ jahāñ ko sambhāl rakkhā hai
siyāh gesū ko shānoñ pe Daal rakkhā hai
balā kā saañp sapere ne paal rakkhā hai
mujhe to hashr ke va.ade pe Taal rakkhā hai
ajal kā naam badal kar visāl rakkhā hai
ye din ke dosh pe bikhrī haiñ shaam kī zulfeñ
ki ik machhere ke kāñdhe pe jaal rakkhā hai
jis āftāb ko samjhe the sab ki Duub gayā
use gilass meñ rindoñ ne Dhaal rakkhā hai
ye kaun aisī parī hai ki jis ko rindoñ ne
zamīñ se tā-ba-surayyā uchhāl rakkhā hai
hamārī tauba kā ḳhuuñ hai ki bāda-e-rañgīñ
ye jaam jaam meñ kyā laal laal rakkhā hai
zamāna detā hai mujh ko zavāl kī dhamkī
na jaane kaun sā mujh meñ kamāl rakkhā hai
'nazīr' mar ke chukānā paḌegā qarz-e-hayāt
nahīñ gar aaj to kal intiqāl rakkhā hai