ye ināyateñ ġhazab kī ye balā kī mehrbānī
merī ḳhairiyat bhī pūchhī kisī aur kī zabānī
nahīñ mujh se jab ta.alluq to ḳhafā ḳhafā se kyuuñ haiñ
nahīñ jab mirī mohabbat to ye kaisī bad-gumānī
mirā ġham rulā chukā hai tujhe bikhrī zulf vaale
ye ghaTā batā rahī hai ki baras chukā hai paanī
tirā husn so rahā thā mirī chheḌ ne jagāyā
vo nigāh maiñ ne Daalī ki sañvar ga.ī javānī
mirī be-zabān āñkhoñ se gire haiñ chand qatre
vo samajh sakeñ to aañsū na samajh sakeñ to paanī
hai agar hasīñ banānā tujhe apnī zindagī ko
to 'nazīr' is jahāñ ko na samajh jahān-e-fānī