Nazeer Banarasi

ek raat mein sau bar jala aur bujha hun

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
ik raat meñ sau baar jalā aur bujhā huuñ
muflis kā diyā huuñ magar āñdhī se laḌā huuñ
jo kahnā ho kahiye ki abhī jaag rahā huuñ
so.ūñgā to so jā.ūñgā din bhar kā thakā huuñ
qindīl samajh kar koī sar kaaT na le aa.e
tājir huuñ ujāle kā añdhere meñ khaḌā huuñ
sab ek nazar pheñk ke baḌh jaate haiñ aage
maiñ vaqt ke show-case meñ chup-chāp khaḌā huuñ
vo aa.ina huuñ jo kabhī kamre meñ sajā thā
ab gir ke jo TuuTā huuñ to raste meñ paḌā huuñ
duniyā kā koī hādsa ḳhālī nahīñ mujh se
maiñ ḳhaak huuñ maiñ aag huuñ paanī huuñ havā huuñ
mil jā.ūñgā dariyā meñ to ho jā.ūñgā dariyā
sirf is liye qatra huuñ ki dariyā se judā huuñ
har daur ne baḳhshī mujhe me.arāj-e-mohabbat
neze pe chaḌhā huuñ kabhī suulī pe chaḌhā huuñ
duniyā se nirālī hai 'nazīr' apnī kahānī
añgāroñ se bach niklā huuñ phūloñ se jalā huuñ
Top Urdushayar.com