tūfāñ se thapeḌoñ ke sahāre nikal aa.e
Duube the burī tarah se baare nikal aa.e
patthar pe paḌī choT sharāre nikal aa.e
be-dard bhī hamdard hamāre nikal aa.e
ab tak koī taskīn kī sūrat nahīñ niklī
din Dhal gayā shaam aa ga.ī taare nikal aa.e
un ko kisī hālat meñ na baḳhshegā kinārā
auroñ ko Dubo kar jo kināre nikal aa.e
dekhe to koī mojaza-e-rabt-e-mohabbat
un āñkhoñ se aaj ashk hamāre nikal aa.e
jo chāho karo aaj se duniyā hai tumhārī
apnā jinheñ samjhā vo tumhāre nikal aa.e
ḳhud mil ga.e us but se mujhe kar ke nasīhat
vaa.iz bhī ḳhudā hī ke sañvāre nikal aa.e
ik aise buzurg aaj 'nazīr' aa ga.e piine
mai-ḳhāne se ham sharm ke maare nikal aa.e