Nazeer Banarasi

kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
kitnī sharmīlī lajīlī hai havā barsāt kī
miltī hai un kī adā se har adā barsāt kī
jaane kis mahivāl se aatī hai milne ke liye
sohnī gaatī huī sauñdhī havā barsāt kī
us ke ghar bhī tujh ko aanā chāhiye thā ai bahār
jis ne sab ke vāste māñgī duā barsāt kī
ab kī bārish meñ na rah jaa.e kisī ke dil meñ mail
sab kī gagrī dho ke bhar de ai ghaTā barsāt kī
dekhiye kuchh aise bhī bīmār haiñ barsāt ke
botaloñ meñ le ke nikle haiñ davā barsāt kī
jeb apnī dekh kar mausam se yaarī kījiye
ab kī mahñgī hai bahut āb-o-havā barsāt kī
bādaloñ kī ghan-garaj ko sun ke bachche kī tarah
chauñk chauñk uThtī hai rah rah kar fazā barsāt kī
rāste meñ tum agar bhīge to ḳhafgī mujh pe kyuuñ
mere munsif pe ḳhatā merī hai yā barsāt kī
ham to bārish meñ khulī chhat par na so.eñge 'nazīr'
aap tanhā apne sar liije balā barsāt kī
Top Urdushayar.com