ye kareñ aur vo kareñ aisā kareñ vaisā kareñ
zindagī do din kī hai do din meñ ham kyā kyā kareñ
dūsroñ se kab talak ham pyaas kā shikva kareñ
laao tesha ek dariyā dūsrā paidā kareñ
husn ḳhud aa.e tavāf-e-ishq karne ke liye
ishq vaale zindagī meñ husn to paidā kareñ
chaḌh ke suulī par ḳharīdeñge ḳharīdār aap ko
aap apne husn kā bāzār to ūñchā kareñ
jī meñ aatā hai ki deñ parde se parde kā javāb
ham se vo parda kareñ duniyā se ham pardā kareñ
sun rahā huuñ kuchh luTere aa ga.e haiñ shahr meñ
aap jaldī band apne ghar kā darvāza kareñ
kījiyegā rahzanī kab tak ba-nām-e-rahbarī
ab se behtar aap koī dūsrā dhandā kareñ
is purānī bevafā duniyā kā ronā kab talak
aa.iye mil-jul ke ik duniyā na.ī paidā kareñ
dil hameñ taḌpā.e to kaise na ham taḌpeñ 'nazīr'
dūsre ke bas meñ rah kar apnī vaalī kyā kareñ