din Dhalā jaatā hai shaam aatī hai ghabrātā huuñ maiñ
Dūbtā jaatā hai sūraj Dūbtā jaatā huuñ maiñ
ik Thikāna thā jahāñ bahlā liyā kartā thā dil
aaj us mahfil ko bhī zer-o-zabar paatā huuñ maiñ
aa ga.ī hai yaad aaj apne dil-e-marhūm kī
saarī duniyā sog meñ Duubī huī paatā huuñ maiñ
merī guzrī zindagī āvāz detī hai mujhe
ai muġhannī band kar naġhma ki ghabrātā huuñ maiñ
rafta rafta ishq is manzil meñ laayā hai mujhe
dard uThtā hai kisī ko aur taḌap jaatā huuñ maiñ
tum vahī mahfil vahī mahfil kī ra.anā.ī vahī
in dinoñ kuchh apne hī ko dūsrā paatā huuñ maiñ
ye safedī hai sahar kī yā tamannā kā kafan
haa.e kyā paanā thā kyā vaqt-e-sahar paatā huuñ maiñ
raushnī detā huuñ sab ko ik bujhe dil se 'nazīr'
apnī sard aahoñ se har mahfil ko garmātā huuñ maiñ