Nazeer Banarasi

aur to kuchh na hua pi ke bahak jaane se

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
aur to kuchh na huā pī ke bahak jaane se
baat mai-ḳhāne kī bāhar ga.ī mai-ḳhāne se
koī paimāna laḌā jab kisī paimāne se
ham ne samjhā ki pukārā gayā mai-ḳhāne se
do nigāhoñ kā javānī meñ hai aisā milnā
jaise dīvāne kā milnā kisī dīvāne se
dil kī duniyā meñ saverā sā nazar aatā hai
hasrateñ jaag uThī haiñ tire aa jaane se
dil kī ujḌī huī hālat pe na jaa.e koī
shahr ābād hue haiñ isī vīrāne se
jalva-gar aaj unheñ bhī sar-e-mimbar dekhā
jin ko dekhā thā nikalte hue mai-ḳhāne se
dar-o-dīvār pe qabza hai udāsī 'nazīr'
ghar mirā ghar na rahā un ke chale jaane se
Top Urdushayar.com