Nazeer Banarasi

bad-gumani ko baDha kar tumne ye kya kar diya

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
bad-gumānī ko baḌhā kar tum ne ye kyā kar diyā
ḳhud bhī tanhā ho ga.e mujh ko bhī tanhā kar diyā
zinda rakhne ke liye rakkhā hai achchhā silsila
ik miTāyā dūsrā armān paidā kar diyā
aap samjhāne bhī aa.e qibla-o-ka.aba to kab
ishq ne jab be-niyāz-e-dīn-o-duniyā kar diyā
bandagān-e-daur-e-hāzir kī ḳhudā.ī dekhiye
jis jagah jis vaqt chāhā hashr barpā kar diyā
kal kī kal hai kal jab aa.egā to samjhā jā.egā
aaj to saaqī ne dil kā bojh halkā kar diyā
mohtaram pī lījiye mausam ne mauqa.a de diyā
dekhiye kaalī ghaTā ne uTh ke pardā kar diyā
vo ghar aa.e the 'nazīr' aise meñ kuchh kahnā na thā
shukr kā mauqa.a thā pyāre tū ne shikvā kar diyā
Top Urdushayar.com