vo jo bichhḌe maut yaad aane lagī
zindagī tanhā thī ghabrāne lagī
jab vo mere haal par hañsne lage
mujh ko duniyā par hañsī aane lagī
ghar se vo jaate haiñ ghar kī ḳhair ho
raunaq-e-dīvār-o-dar jaane lagī
itnā jaage intizār-e-dost meñ
hasratoñ ko niiñd sī aane lagī
be-sahārā ho chalī thī zindagī
vo to kahiye un kī yaad aane lagī
us nazar kī ek jumbish par 'nazīr'
kā.enāt-e-ishq lahrāne lagī