hue mujh se jis ghaḌī tum judā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
mirī har nazar thī ik iltijā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo tumhārā kahnā ki jā.eñge agar aa sake to phir ā.eñge
use ik zamāna guzar gayā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
mirī be-qarāriyāñ dekh kar mujhe tum ne dī thiiñ tasalliyāñ
mirā chehra phir bhī udaas thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
mirī bebasī ne zabān tak jise lā ke tum ko rulā diyā
mire TuuTe saaz kī vo sadā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
tumheñ chand qatra-e-ashk bhī kiye pesh jis ke javāb meñ
vo salām nīchī nigāh kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
mire shāne par yahī zulf thī jo hai aaj mujh se khiñchī khiñchī
mire haath meñ yahī haath thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī haath meñ jo sharāb lī vahīñ tum ne chhīn ke pheñk dī
mujhe yaad hai mire pārsā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kahīñ tum ko jaanā huā agar na ga.e baġhair 'nazīr' ke
vo zamāna apne 'nazīr' kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho