Nazeer Banarasi

tum nain ke donon paT mere liye wa rakhna

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
tum nain ke donoñ paT mere liye vā rakhnā
maiñ jald hī lauTūñgā darvāza khulā rakhnā
jo kahnā ho kah Daalo ho jā.egā jī halkā
jo baat hai kahne kī dil meñ use kyā rakhnā
hai zinda-dilī daulat sab ḳharch na kar denā
shāyad kabhī kaam aa.e thoḌī sī bachā rakhnā
halkī sī kamī karnā kal kamre kī zīnat meñ
tasvīr haTā denā aa.ina lagā rakhnā
sāmān-e-safar pyāre kyā saath na luuñ kyā luuñ
ik shab kā musāfir huuñ kyā chhoḌnā kyā rakhnā
qistoñ meñ 'nazīr' un se hāl-e-ġham-e-dil kahnā
kuchh aaj sunā denā kuchh kal pe uThā rakhnā
Top Urdushayar.com