Nazeer Banarasi

ek diwane ko aaj aae hain samjhane kai

Nazeer Banarasi

Banaras, Uttar pradesh, India

1909-1996
ek dīvāne ko aaj aa.e haiñ samjhāne ka.ī
pahle maiñ dīvāna thā aur ab haiñ dīvāne ka.ī
aql baḌh kar ban ga.ī thī dard-e-sar jaate kahāñ
aa ga.e dīvāngī kī had meñ farzāne ka.ī
saarī duniyā aa rahī hai dekhne ke vāste
sar-phiroñ ne ek kar Daale haiñ vīrāne ka.ī
kyā hamāre daur ke kuchh piine vaale uTh ga.e
aaj ḳhālī kyoñ nazar aate haiñ paimāne ka.ī
mujh ko chup rahnā paḌā sirf aap kā muñh dekh kar
varna mahfil meñ the mere jaane pahchāne ka.ī
kis tarah vo din bhulā.ūñ jis bure din kā sharīk
ek bhī apnā nahīñ thā aur begāne ka.ī
maiñ vo kāshī kā musalmāñ huuñ ki jis ko ai 'nazīr'
apne ghere meñ liye rahte haiñ but-ḳhāne ka.ī
Top Urdushayar.com