jab se vo kah ke ga.e haiñ ki abhī aate haiñ
koī aatā hai samajhtā huuñ vahī aate haiñ
barg-o-bār aate haiñ shāḳhoñ meñ gul-o-ġhuncha bhī
vo jab aate haiñ chaman meñ to sabhī aate haiñ
apnī qismat kā sitāra to nahīñ gardish meñ
na ḳhabar aatī hai un kī na vahī aate haiñ
ishq-e-sādiq ne jhukāyā sar-e-husn-e-maġhrūr
jin ko da.avā thā na aane kā vahī aate haiñ
ashk ban kar kabhī aate haiñ kabhī ban ke hañsī
ab mohabbat meñ bahar-shakl vahī aate haiñ
ab to ik bhiiḌ chalā kartī hai un ke ham-rāh
baat bhī kar nahīñ sakte jo kabhī aate haiñ
piine jaate haiñ sar-e-shām 'nazīr' ek buzurg
aur kuchh raat Dhale ban ke valī aate haiñ