nigāh o dil bhī qadam kī tarah milā ke chale
kis ittihād se raahī rah-e-vafā ke chale
vahāñ se ro ke uThe aur muskurā ke chale
balā kā ġham thā hamīñ the ki ġham chhupā ke chale
fasurda-dil the magar bazm ko hañsā ke chale
kalī na tum se khilī ham chaman ḳhalā ke chale
lipaT na jaa.e kahīñ raah pā-e-nāzuk se
ye aap haath se dāman kahāñ chhuḌā ke chale
tumhīñ ne dil ke añdhere ko dī ziyā-e-umīd
tumhīñ ġharīb ke ghar kā diyā bujhā ke chale
kisī ko dekhte dekhā udaas ho ga.e tum
nazar hai koī kahāñ tak bachā bachā ke chale
'nazīr' huuñ vo sharābī ba-faiz-e-pīr-e-muġhāñ
nigāh Daal duuñ jis par vo laḌkhaḌā ke chale