jo ġhazal mahloñ se chal kar jhoñpaḌoñ tak aa ga.ī
kal sunoge gaañv ke chaupāl tak par chhā ga.ī
khet meñ jo chug rahī thī qaid meñ ghabrā ga.ī
gaañv kī mainā jo aa.ī shahr meñ dubrā ga.ī
aisī raanī jis kā jī lagtā na thā vanvās maiñ
ik mohabbat kī badaulat us ko kuTiyā bhā ga.ī
señk detā thā jo jaaḌe meñ ġharīboñ ke badan
aaj us sūraj ko ik dīvār uTh kar khā ga.ī
kaisī kaisī shaḳhsiyat algāv-vādī ho ga.ī
kaise kaise zehn ko firqa-parastī khā ga.ī
us kī sattar kī kamā.ī aur pachāsī kā hai ḳharch
aadmī achchhā thā us ko ghar kī chintā khā ga.ī
ek pal meñ umr-bhar kā saath chhūTā hai 'nazīr'
bad-gumānī zindagī-bhar kī kamā.ī khā ga.ī