jahāñ meñ ḳhud ko banāne meñ der lagtī hai
kisī maqām pe aane meñ der lagtī hai
urūj-e-vaqt pe jaane meñ der lagtī hai
har ek ilm ko paane meñ der lagtī hai
phir un ke paas bhī jaane meñ der lagtī hai
hamesha un ko manāne meñ der lagtī hai
hamāre shahr mohalle galī kā ab māhaul
bigaḌ gayā to banāne meñ der lagtī hai
anā kī soch ko yā phir anā ke hoñToñ ko
ġhamoñ kā haal batāne meñ der lagtī hai
hai husn vāloñ kā andāz ye zamāne meñ
hai ishq phir bhī jatāne meñ der lagtī hai
ye baat aa.egī tum ko samajh meñ kab 'fayyāz'
bulandī milne meñ paane meñ der lagtī hai