ajiib sāneha guzrā hai in gharoñ pe koī
ki chauñktā hī nahīñ ab to dastakoñ pe koī
ujaaḌ shahar ke raste jo ab sunāte haiñ
yaqīn kartā hai kab un kahāniyoñ pe koī
hai baat duur kī manzil kā sochnā ab tū
ki rasta khultā nahīñ hai musāfiroñ pe koī
vo ḳhauf hai ki badan pattharoñ meñ Dhalne lage
ajab ghaḌī ki duā bhī nahīñ laboñ pe koī
havā bhī tez na thī jab parinda aa ke girā
nahīñ thā zaḳhm bhī 'jāved' in paroñ pe koī