Javaid Anwar

wahi harf hain wahi zarf hain wahi roz-o-shab hain sarab se

Javaid Anwar

Lahore, Punjab, Pakistan

vahī harf haiñ vahī zarf haiñ vahī roz-o-shab haiñ sarāb se
vo malāhatoñ kā ḳhumār sā vo mohabbatoñ ke sahāb se
na kisī kamān meñ tiir hai na gulāb haiñ kisī haath meñ
mire shahr ke sabhī log haiñ kisī ajnabī sī kitāb se
tire ba.ad bhī vahī Dhañg haiñ vahī naḳhl-soḳhta rañg haiñ
vahī intizār-e-tuyūr hai vahī barg-e-sabz ke ḳhvāb se
jo kabhī ye bāb-e-alam khulā the har ek halqa-e-chashm meñ
pas-e-parda-e-ġham-e-dostāñ faqat apne apne azaab se
mirī dostī bhī ajiib thī vahī āshnā vahī ajnabī
kabhī phuul bā.is-e-zaḳhm thā kabhī sañg bhī the gulāb se
Top Urdushayar.com