makān so.e hue the abhī ki dar jaage
thakan miTī bhī na thī aur na.e safar jaage
jo din chaḌhā to hameñ niiñd kī zarūrat thī
sahar kī aas meñ ham log raat bhar jaage
jakaḌ rakhā thā fazā ko hamāre na.aroñ ne
jo lab ḳhamosh hue to diloñ meñ Dar jaage
hameñ Darā.egī kyā raat ḳhud hai sahmī huī
badan to jāgte rahte the ab ke sar jaage
uThāo haath ki vaqt-e-qubūliyat hai yahī
duā karo ki duāoñ meñ ab asar jaage