phir apnī zaat kī tīra-hadoñ se bāhar aa
tū ab to zabt ke in shobadoñ se bāhar aa
maiñ dekh lūñgā tire asp tere zor-āvar
bas ek baar tū apnī hadoñ se bāhar aa
dahak dahak ke bahalte dinoñ ke aañsū poñchh
azān-e-guñg mire gumbadoñ se bāhar aa
tujhe maiñ ġhaur se dekhūñ maiñ tujh se pyaar karūñ
ai mere but tū mire but-kadoñ se bāhar aa
tavīl aur na kar ab visāl kī saa.at
navā-e-sub.h-e-safar mābadoñ se bāhar aa
tū ab to phoḌ le āñkheñ tū ab to ro 'jāved'
tū ab to zabt ke in shobadoñ se bāhar aa