Javaid Anwar

be-tuki raushni mein parae andhere liye

Javaid Anwar

Lahore, Punjab, Pakistan

be-tukī raushnī meñ parā.e andhere liye
ek manzar hai tere liye ek mere liye
ik gul-e-ḳhvāb aisā khulā shāḳh murjhā ga.ī
maiñ ne mastī meñ ik ism ke saat phere liye
dar darīche muqaffal kiye kunjiyāñ pheñk diiñ
chal paḌe apne kandhoñ pe apne basere liye
terī ḳhātir mire garm ḳhitte kī ThanDī havā
sab harī Tahniyāñ aur un par khile phuul tere liye
shām-e-vāda ne kis din hamārā irāda sunā
kab kise shab milī aur kis ne savere liye
Top Urdushayar.com