Peer Nasiruddin Shah Naseer

bisat-e-bazm ulaT kar kahan gaya saqi

Peer Nasiruddin Shah Naseer

Golra Sharif, Islamabad, Pakistan

1949-2009
bisāt-e-bazm ulaT kar kahāñ gayā saaqī
fazā ḳhamosh, subū chup, udaas paimāne
na ab vo jalva-e-yūsuf na misr kā bāzār
na ab vo husn ke tevar, na ab vo dīvāne
na harf-e-haq, na vo mansūr kī zabāñ, na vo daar
na karbalā, na vo kaTte saroñ ke nazrāne
na bāyazīd, na shiblī, na ab junaid koī
na ab o soz, na ā.heñ, na hāv-hū ḳhāne
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī sūrat bikhar gayā maazī
na silsile na vo qisse na ab vo afsāne
na qadr-dāñ, na koī ham-zabāñ, na insāñ dost
fazā-e-shahr se behtar haiñ ab to vīrāne
badal ga.e haiñ taqāze mizāj-e-vaqt ke saath
na vo sharāb, na sāqī, na ab vo mai-ḳhāne
Top Urdushayar.com